Aahatein,
Meri aahatein,
Teri aahaton,
se bandh gayi.
Saansein,
Meri saansein,
Teri saanson,
mein tham gayi.
Nazraane,
Nazron ke
Nazron se,
Mil gayi.
Ankahi,
Jo baatein..
Saari baatein,
Nikal gayi.
Aahatein ab bandh gayi...
Raahon mein mere,
Phoolon ki mehak hain.
Ujla sa mann mera,
Chehre pe teri chehek hai..
Halka nasha hai,
Kuch toh hua hai,
Udd chali hoon kahiin..
Aasmaan ko maine chhuaa hai.
Bheegi si, inn aankhon ki madhoshi jaise zeheno mein hai sajj gayi..
Aahatein,
Meri aahatein,
Teri aahaton,
se bandh gayi.
Saasein, nazrein, baaton mein..
Reh guzar ab raaton mein.
Dhoop mein, barsaaton mein,
Teri aahat dhoondti rehti hoon...
Copyright © 2017 Aditya Dasgupta
No comments:
Post a Comment